māmūr-e-uns qalb-e-munavvar talāsh kar
labrez iltifāt se paikar talāsh kar
tujh ko jo de duā to ḳhudā rad nahīñ kare
aisā koī faqīr-o-qalandar talāsh kar
manzil se ham-kanār kare kārvāñ ko jo
aisā koī jahān meñ rahbar talāsh kar
bulbul ho fāḳhta ho ki shāhīñ ki baaz ho
sab mil ki uḌ sakeñ tū vo ambar talāsh kar
mushkil bahut hai phir bhī zamāne meñ ai 'zakī'
mehr-o-vafā-o-ḳhulq kā paikar talāsh kar
ġhavvās gar samajhtā hai ḳhud ko to ai 'zakī'
to bahr-e-fan meñ Duub ke gauhar talāsh kar
zulm-o-sitam to had se guzarne lage 'zakī'
amn-o-amāñ kā koī payambar talāsh kar
mamur-e-uns qalb-e-munawwar talash kar
labrez iltifat se paikar talash kar
tujh ko jo de dua to KHuda rad nahin kare
aisa koi faqir-o-qalandar talash kar
manzil se ham-kanar kare karwan ko jo
aisa koi jahan mein rahbar talash kar
bulbul ho faKHta ho ki shahin ki baz ho
sab mil ki uD saken tu wo ambar talash kar
mushkil bahut hai phir bhi zamane mein ai 'zaki'
mehr-o-wafa-o-KHulq ka paikar talash kar
ghawwas gar samajhta hai KHud ko to ai 'zaki'
to bahr-e-fan mein Dub ke gauhar talash kar
zulm-o-sitam to had se guzarne lage 'zaki'
amn-o-aman ka koi payambar talash kar
Source :
- Book : ضبط فغاں(شعری مجموعہ) (Pg. 64)
- Author : کوکب ذکی
-
Publication : وشواس پبلی کیشنز ،حیدرآباد
(2016)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.