mana dukh ko thoDa kam kar deti hain
maanā dukh ko thoḌā kam kar detī haiñ
par ḳhushiyāñ bhī āñkheñ nam kar detī haiñ
pyaar kī kaliyāñ jab bhī dil meñ khiltī haiñ
maiñ aur tum ko aksar ham kar detī haiñ
jab yādoñ ke phuul palak par khilte haiñ
āñkheñ ashkoñ ko shabnam kar detī haiñ
is se ziyāda kaun 'sachin' dhokhā degā
jism ko sāñseñ hī be-dam kar detī haiñ
mana dukh ko thoDa kam kar deti hain
par KHushiyan bhi aankhen nam kar deti hain
pyar ki kaliyan jab bhi dil mein khilti hain
main aur tum ko aksar hum kar deti hain
jab yaadon ke phul palak par khilte hain
aankhen ashkon ko shabnam kar deti hain
is se ziyaada kaun 'sachin' dhokha dega
jism ko sansen hi be-dam kar deti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.