mana har shaKHs mere haq mein gawahi dega
mana har shaKHs mere haq mein gawahi dega
Mohammad Amir Alvi Amir
MORE BYMohammad Amir Alvi Amir
maanā har shaḳhs mire haq meñ gavāhī degā
zulm-parvar jo vo Thahrā to sazā hī degā
kyā gumāñ thā mire ajdād ke raushan naamo
ye mirā daur tumheñ baḳht-e-siyah hī degā
tū hai ik ret muqaddar hai havā kī Thokar
phir bhalā kaun tujhe pusht-panāhī degā
mere jañgal kī bhī vus.at ko to dekhā hotā
ik diyā kyā mujhe anjām batā hī degā
maiñ to rūThā ki manāte hue dekhūñ us ko
kyā ḳhabar thī ki sitamgar vo bhulā hī degā
vaqt badlā to usī haath meñ hogā ḳhanjar
ye na soch jab bhī uThegā to duā hī degā
nā-ḳhudāoñ pe bharosa na Dubo de 'āmir'
qurb-e-sāhil jo tujhe degā ḳhudā hī degā
mana har shaKHs mere haq mein gawahi dega
zulm-parwar jo wo Thahra to saza hi dega
kya guman tha mere ajdad ke raushan namo
ye mera daur tumhein baKHt-e-siyah hi dega
tu hai ek ret muqaddar hai hawa ki Thokar
phir bhala kaun tujhe pusht-panahi dega
mere jangal ki bhi wusat ko to dekha hota
ek diya kya mujhe anjam bata hi dega
main to ruTha ki manate hue dekhun us ko
kya KHabar thi ki sitamgar wo bhula hi dega
waqt badla to usi hath mein hoga KHanjar
ye na soch jab bhi uThega to dua hi dega
na-KHudaon pe bharosa na Dubo de 'amir'
qurb-e-sahil jo tujhe dega KHuda hi dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.