mana ki irade tere KHunKhaar bahut hain
maanā ki irāde tire ḳhuñḳhār bahut haiñ
is ahd ke fankār bhī ḳhud.dār bahut haiñ
kyoñ merī taraf lutf-o-ināyat kī nazar hai
hastī ke shifā-ḳhāne meñ bīmār bahut haiñ
tum jāoge bāzār to dekhoge tamāsha
zaḳhmoñ ke gulāboñ ke ḳharīdār bahut haiñ
yuuñ merī taraf sang-e-malāmat na uchhālo
is dahr meñ to sāhib-e-kirdār bahut haiñ
ab zulf-e-girah-gīr kī bāteñ na karo tum
ham ḳhud hī ġham-e-ishq se bezār bahut haiñ
sīñchā hai jinheñ de ke lahū apne jigar kā
aise mire dīvān meñ ash.ār bahut haiñ
mana ki irade tere KHunKHar bahut hain
is ahd ke fankar bhi KHuddar bahut hain
kyon meri taraf lutf-o-inayat ki nazar hai
hasti ke shifa-KHane mein bimar bahut hain
tum jaoge bazar to dekhoge tamasha
zaKHmon ke gulabon ke KHaridar bahut hain
yun meri taraf sang-e-malamat na uchhaalo
is dahr mein to sahib-e-kirdar bahut hain
ab zulf-e-girah-gir ki baaten na karo tum
hum KHud hi gham-e-ishq se bezar bahut hain
sincha hai jinhen de ke lahu apne jigar ka
aise mere diwan mein ashaar bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.