mana ki mera jism ye juTha gilas hai
maanā ki merā jism ye jūThā gilās hai
lekin ye dil to aaj bhī korā gilās hai
kitnī hai kaisī mai hai yahī baat hai baḌī
chāñdī yā kāñch kā sahī rahtā gilās hai
kuchh tishnagī bhī rakhnī thī jānāñ sañbhāl ke
tum ne hifāzatoñ se jo rakkhā gilās hai
piine kā lutf hai tabhī jab ye rahe na ilm
terā gilās hai ki ye merā gilās hai
qīmat to merī pyaas kī bhī kam nahīñ huzūr
ye aur baat aap kā mahñgā gilās hai
tum ko bhī is jahān kā aa hī gayā chalan
piine ke baad tum ne bhī pheñkā gilās hai
muñh se lagā maiñ pī gayā botal to shor kyoñ
shiddat kī pyaas ko kahāñ miltā gilās hai
duniyā kā maiñ zarūr huuñ par shaam hī talak
phir us ke baad to mirī duniyā gilās hai
mana ki mera jism ye juTha gilas hai
lekin ye dil to aaj bhi kora gilas hai
kitni hai kaisi mai hai yahi baat hai baDi
chandi ya kanch ka sahi rahta gilas hai
kuchh tishnagi bhi rakhni thi jaanan sanbhaal ke
tum ne hifazaton se jo rakkha gilas hai
pine ka lutf hai tabhi jab ye rahe na ilm
tera gilas hai ki ye mera gilas hai
qimat to meri pyas ki bhi kam nahin huzur
ye aur baat aap ka mahnga gilas hai
tum ko bhi is jahan ka aa hi gaya chalan
pine ke baad tum ne bhi phenka gilas hai
munh se laga main pi gaya botal to shor kyon
shiddat ki pyas ko kahan milta gilas hai
duniya ka main zarur hun par sham hi talak
phir us ke baad to meri duniya gilas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.