mana ki mere pyar ko patthar pasand tha
maanā ki mere pyaar ko patthar pasand thā
vo shaḳhs kyā huā jo baḌā dard-mand thā
shahr-e-sadā ko raat kisī ne jagā diyā
Duubā huā sā dard meñ vo kis kā chhand thā
kaise vo is jahān kī vus.at ko dekhtā
vo aa.ina jo apne hī kamre meñ band thā
kaase ko dard ke na milī chāñdnī kī bhiik
hālāñki merā chāñd bahut dard-mand thā
bhaḌkī lahū kī aag to andar se jal gayā
ehsās kā makān jo bāhar se band thā
dete haiñ daad gul tire āñchal ko thaam kar
kāñToñ kā hausla bhī ġhazab kā buland thā
jis ke gale meñ nisf sadī kī salīb thī
us lamhe kā to 'raaj bhī ehsānmand thā
mana ki mere pyar ko patthar pasand tha
wo shaKHs kya hua jo baDa dard-mand tha
shahr-e-sada ko raat kisi ne jaga diya
Duba hua sa dard mein wo kis ka chhand tha
kaise wo is jahan ki wusat ko dekhta
wo aaina jo apne hi kamre mein band tha
kase ko dard ke na mili chandni ki bhik
haalanki mera chand bahut dard-mand tha
bhaDki lahu ki aag to andar se jal gaya
ehsas ka makan jo bahar se band tha
dete hain dad gul tere aanchal ko tham kar
kanTon ka hausla bhi ghazab ka buland tha
jis ke gale mein nisf sadi ki salib thi
us lamhe ka to 'raj bhi ehsanmand tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.