mana ki nahin aaj taraf-dar hamari
maanā ki nahīñ aaj taraf-dār hamārī
duniyā kabhī hotī thī parastār hamārī
afsos to ye hai ki dilāsa nahīñ detā
vo baat to suntā hai ka.ī baar hamārī
zālim ke liye narm ravayya nahīñ rakhte
mazlūm pe chaltī nahīñ talvār hamārī
TuuTe hue rishtoñ kī bahālī ke liye thī
jitnī bhī huī aap se takrār hamārī
har ek se bai'at kā taqāzā nahīñ karte
ta.adād se bantī nahīñ sarkār hamārī
ham log agar aa hī ga.e haiñ sar-e-bāzār
qīmat na girā chashm-e-ḳharīdār hamārī
mana ki nahin aaj taraf-dar hamari
duniya kabhi hoti thi parastar hamari
afsos to ye hai ki dilasa nahin deta
wo baat to sunta hai kai bar hamari
zalim ke liye narm rawayya nahin rakhte
mazlum pe chalti nahin talwar hamari
TuTe hue rishton ki bahaali ke liye thi
jitni bhi hui aap se takrar hamari
har ek se bai'at ka taqaza nahin karte
tadad se banti nahin sarkar hamari
hum log agar aa hi gae hain sar-e-bazar
qimat na gira chashm-e-KHaridar hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.