mana ki samundar ka kinara bhi nahin hai
maanā ki samundar kā kināra bhī nahīñ hai
par lauT ke jaane kā irāda bhī nahīñ hai
alfāz ne sab khol diye raaz badan ke
vaise to kisī ne use dekhā bhī nahīñ hai
kyā jaa.eñ tire shahr meñ kis tarh se jaa.eñ
chehra to baḌī baat mukhauTā bhī nahīñ hai
kaT jā.egī kahte ho magar kaise kaTegī
vo raat ki jis meñ koī qissa bhī nahīñ hai
aa.e ho jo bāzār meñ to dekh lo kuchh aur
har roz nayā chāñd nikaltā bhī nahīñ hai
kuchh baat yaqīnan hai mire yaar ke man meñ
is tarh se chehra to damaktā bhī nahīñ hai
ham khelne vaale haiñ yahāñ khel junūñ kā
vaise to ye kahne ko tamāshā bhī nahīñ hai
mana ki samundar ka kinara bhi nahin hai
par lauT ke jaane ka irada bhi nahin hai
alfaz ne sab khol diye raaz badan ke
waise to kisi ne use dekha bhi nahin hai
kya jaen tere shahr mein kis tarh se jaen
chehra to baDi baat mukhauTa bhi nahin hai
kaT jaegi kahte ho magar kaise kaTegi
wo raat ki jis mein koi qissa bhi nahin hai
aae ho jo bazar mein to dekh lo kuchh aur
har roz naya chand nikalta bhi nahin hai
kuchh baat yaqinan hai mere yar ke man mein
is tarh se chehra to damakta bhi nahin hai
hum khelne wale hain yahan khel junun ka
waise to ye kahne ko tamasha bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.