mana ki TeDhi hai ye wafa ki Dagar wagar
maanā ki TeḌhī hai ye vafā kī Dagar vagar
har haal meñ usī pe kareñge safar-vafar
aisī bharūñgā aah kisī roz dekhnā
dil par tumhāre hogā yaqīnan asar-vasar
kab tak uThā.ūñ maiñ tirī nafrat kā Tokrā
mujh par ho pyāre pyaar kī ab to nazar-vazar
mere laboñ pe giit na table pe taal hai
phir kyoñ maTak rahī hai tumhārī kamar-vamar
aao tumhāre husn kā sadqa utaar duuñ
Dartā huuñ lag na jaa.e kisī kī nazar-vazar
kar do ḳhatā mu'āf mujhe khānā de bhī do
phuknī se chāhe le lo mirī tum ḳhabar-vabar
'iqbāl' ek baat kabhī maan lī thī bas
biivī huī hai tab se hī ham par zabar-vabar
mana ki TeDhi hai ye wafa ki Dagar wagar
har haal mein usi pe karenge safar-wafar
aisi bharunga aah kisi roz dekhna
dil par tumhaare hoga yaqinan asar-wasar
kab tak uThaun main teri nafrat ka Tokra
mujh par ho pyare pyar ki ab to nazar-wazar
mere labon pe git na table pe tal hai
phir kyon maTak rahi hai tumhaari kamar-wamar
aao tumhaare husn ka sadqa utar dun
Darta hun lag na jae kisi ki nazar-wazar
kar do KHata mu'af mujhe khana de bhi do
phukni se chahe le lo meri tum KHabar-wabar
'iqbaal' ek baat kabhi man li thi bas
biwi hui hai tab se hi hum par zabar-wabar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.