mana ki tujh mein ye dil ab mubtala nahin hai
mana ki tujh mein ye dil ab mubtala nahin hai
Nishant Shrivastava Nayab
MORE BYNishant Shrivastava Nayab
maanā ki tujh meñ ye dil ab mubtalā nahīñ hai
phir bhī hamāre haq meñ ye faisla nahīñ hai
dil toḌ kar vo merā samjhā rahā thā mujh ko
ye baat hai zarā sī koī mas.ala nahīñ hai
ham zindagī se thoḌā nā āshnā hue haiñ
ḳhatra to kam huā hai lekin Talā nahīñ hai
maiñ zindagī kī had se aage nikal to aayā
yaañ par ḳhalā hai likkhā lekin ḳhalā nahīñ hai
mere safar pa koī kaise yaqīn laa.e
koī rāhbar nahīñ hai koī aabla nahīñ hai
sūraj ke ghar meñ ham ne aañsū chhupā diye haiñ
kal raat ne kahā thā ab hauslā nahīñ hai
vahshat ko ḳhair jaano apne gale lagāo
ye rizq-e-āshiqī hai koī balā nahīñ hai
mana ki tujh mein ye dil ab mubtala nahin hai
phir bhi hamare haq mein ye faisla nahin hai
dil toD kar wo mera samjha raha tha mujh ko
ye baat hai zara si koi masala nahin hai
hum zindagi se thoDa na aashna hue hain
KHatra to kam hua hai lekin Tala nahin hai
main zindagi ki had se aage nikal to aaya
yan par KHala hai likkha lekin KHala nahin hai
mere safar pa koi kaise yaqin lae
koi rahbar nahin hai koi aabla nahin hai
suraj ke ghar mein hum ne aansu chhupa diye hain
kal raat ne kaha tha ab hausla nahin hai
wahshat ko KHair jaano apne gale lagao
ye rizq-e-ashiqi hai koi bala nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.