mana ki use humse kabhi pyar nahin tha
maanā ki use ham se kabhī pyaar nahīñ thā
zālim magar itnā bhī dil-āzār nahīñ thā
ham jis se tavaqqo' pe manāne kī ḳhafā the
vo naam bhī sunñe kā ravādār nahīñ thā
madhoshī-e-ulfat meñ 'ajab be-ḳhabarī thī
dil hosh meñ aa kar bhī ḳhabar-dār nahīñ thā
sochā thā kaḌī dhuup meñ yāroñ ke mahal haiñ
dekhā to kahīñ sāya-e-dīvār nahīñ thā
ġham aur bhī the yuuñ to ġham-e-yār se pahle
aisā bhī magar hāl-e-dil-e-zār nahīñ thā
ye talḳh haqā.eq bhī haiñ apnoñ hī se mansūb
ġhairoñ meñ koī dar-pa-e-āzār nahīñ thā
kaam un se paḌā 'bazm' ki jin fitna-garoñ se
jī baat bhī karne kā ravādār nahīñ thā
mana ki use hum se kabhi pyar nahin tha
zalim magar itna bhi dil-azar nahin tha
hum jis se tawaqqo' pe manane ki KHafa the
wo nam bhi sunne ka rawadar nahin tha
madhoshi-e-ulfat mein 'ajab be-KHabari thi
dil hosh mein aa kar bhi KHabar-dar nahin tha
socha tha kaDi dhup mein yaron ke mahal hain
dekha to kahin saya-e-diwar nahin tha
gham aur bhi the yun to gham-e-yar se pahle
aisa bhi magar haal-e-dil-e-zar nahin tha
ye talKH haqaeq bhi hain apnon hi se mansub
ghairon mein koi dar-pa-e-azar nahin tha
kaam un se paDa 'bazm' ki jin fitna-garon se
ji baat bhi karne ka rawadar nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.