mana ki zindagi mein kuchh achchha nahin kiya
mana ki zindagi mein kuchh achchha nahin kiya
Ansh Pratap Singh Ghafil
MORE BYAnsh Pratap Singh Ghafil
maanā ki zindagī meñ kuchh achchhā nahīñ kiyā
lekin zamīr kā kabhī saudā nahīñ kiyā
rusvā hue haiñ ḳhud use rusvā nahīñ kiyā
chup-chāp khaa.e zaḳhm tamāsha nahīñ kiyā
sajde meñ jab jhukāyā to dil se jhukāyā sar
ham ne vafā kī raah meñ dhokā nahīñ kiyā
shāyad tarāsh kar mujhe mūrat banā.e vo
patthar se ḳhud ko is liye shīsha nahīñ kiyā
toḌe haiñ jaam taare gine badlī karvaTeñ
aa dekh terī yaad meñ kyā kyā nahīñ kiyā
Daste haiñ saare ḳhvāb jo bachpan meñ dekhe the
'ġhāfil' javānī meñ jinheñ puurā nahīñ kiyā
mana ki zindagi mein kuchh achchha nahin kiya
lekin zamir ka kabhi sauda nahin kiya
ruswa hue hain KHud use ruswa nahin kiya
chup-chap khae zaKHm tamasha nahin kiya
sajde mein jab jhukaya to dil se jhukaya sar
hum ne wafa ki rah mein dhoka nahin kiya
shayad tarash kar mujhe murat banae wo
patthar se KHud ko is liye shisha nahin kiya
toDe hain jam tare gine badli karwaTen
aa dekh teri yaad mein kya kya nahin kiya
Daste hain sare KHwab jo bachpan mein dekhe the
'ghafil' jawani mein jinhen pura nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.