mana mere makan ki haalat KHarab hai
maanā mire makān kī hālat ḳharāb hai
par daulat-e-ḳhulūs yahāñ be-hisāb hai
ḳhushbū bikhertā huuñ bikharne ke ba.ad bhī
fitrat zarā zarā mirī misl-e-gulāb hai
merī nazar meñ koī nahīñ ḳhvār aur zalīl
har aadmī jahān meñ izzat-e-ma.āb hai
mujh ko gurez ahl-e-jahāñ se nahīñ magar
haiñ chand log jin se mujhe ijtināb hai
rakhtā nahīñ huuñ dil meñ koī ārzū-e-aish
is meñ huuñ mutma.in jo mujhe dastiyāb hai
shikva na kar jo duur hai apnoñ se aaj tū
ye tarz-e-zindagī to tirā intiḳhāb hai
tan se judā huā hai har ik uThne vaalā sar
jo jhuk gayā hai aaj vahī kāmyāb hai
vāqif hai kaun us ke nasheb-o-farāz se
'anjum' baḌī kaThin ye rah-e-inqalāb hai
mana mere makan ki haalat KHarab hai
par daulat-e-KHulus yahan be-hisab hai
KHushbu bikherta hun bikharne ke baad bhi
fitrat zara zara meri misl-e-gulab hai
meri nazar mein koi nahin KHwar aur zalil
har aadmi jahan mein izzat-e-maab hai
mujh ko gurez ahl-e-jahan se nahin magar
hain chand log jin se mujhe ijtinab hai
rakhta nahin hun dil mein koi aarzu-e-aish
is mein hun mutmain jo mujhe dastiyab hai
shikwa na kar jo dur hai apnon se aaj tu
ye tarz-e-zindagi to tera intiKHab hai
tan se juda hua hai har ek uThne wala sar
jo jhuk gaya hai aaj wahi kaamyab hai
waqif hai kaun us ke nasheb-o-faraaz se
'anjum' baDi kaThin ye rah-e-inqalab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.