mana usko gila nahin mujhse
maanā us ko gila nahīñ mujh se
kuchh to hai jo kahā nahīñ mujh se
haq nahīñ dostī kā aisā koī
jo ki us ko milā nahīñ mujh se
dil hī dil meñ vo buġhz rakhtā hai
jo ba-zāhir ḳhafā nahīñ mujh se
kuchh to hogā zarūr is kā sabab
vo jo ab tak laḌā nahīñ mujh se
laakh pīchhā chhuḌānā chāhā magar
ġham huā hī judā nahīñ mujh se
kaise rah pā.egā vo mere baġhair
jo alag hī rahā nahīñ mujh se
jo ba-zāhir ḳhafā hai ai 'mahtāb'
vo ba-bātin ḳhafā nahīñ mujh se
mana us ko gila nahin mujh se
kuchh to hai jo kaha nahin mujh se
haq nahin dosti ka aisa koi
jo ki us ko mila nahin mujh se
dil hi dil mein wo bughz rakhta hai
jo ba-zahir KHafa nahin mujh se
kuchh to hoga zarur is ka sabab
wo jo ab tak laDa nahin mujh se
lakh pichha chhuDana chaha magar
gham hua hi juda nahin mujh se
kaise rah paega wo mere baghair
jo alag hi raha nahin mujh se
jo ba-zahir KHafa hai ai 'mahtab'
wo ba-baatin KHafa nahin mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.