mana wo chhupne wala har dil mein chhup jaega
maanā vo chhupne vaalā har dil meñ chhup jā.egā
lekin DhūñDhne vaalā bhī DhūñDegā aur pā.egā
kyā hotā hai mohabbat meñ ye mujh ko mālūm nahīñ
jis ne aag lagā.ī hai vahī aag bujhā.egā
maiñ to naam kā maalī huuñ phūloñ kā rakhvālā huuñ
jis ne bel lagā.ī hai ḳhud parvān chaḌhā.egā
jis ne ḳhizāñ ko bhejā hai us ke paas bahār bhī hai
jis ne baaġh ujāḌā hai vo ḳhud phuul khilā.egā
'afsar' mere kānoñ meñ jaise koī ye kahtā hai
vo sarkār hamārī hai be-māñge bhī pā.egā
mana wo chhupne wala har dil mein chhup jaega
lekin DhunDhne wala bhi DhunDega aur paega
kya hota hai mohabbat mein ye mujh ko malum nahin
jis ne aag lagai hai wahi aag bujhaega
main to nam ka mali hun phulon ka rakhwala hun
jis ne bel lagai hai KHud parwan chaDhaega
jis ne KHizan ko bheja hai us ke pas bahaar bhi hai
jis ne bagh ujaDa hai wo KHud phul khilaega
'afsar' mere kanon mein jaise koi ye kahta hai
wo sarkar hamari hai be-mange bhi paega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.