mang pas-e-wafa mohabbat mein
maañg pās-e-vafā mohabbat meñ
ruuTh jaatā hai yaar hasrat meñ
zikr maujūdgī kā kartā hai
paas rahtā nahīñ vo ġhurbat meñ
sunte hī naġhma-e-vafā merā
aa hī jaatā hai phir vo harkat meñ
haal pūchhā na kar tū ab merā
ab rakhā kuchh nahīñ tabī'at meñ
kar diyā pal meñ reza reza dil
ab lagegī sadī marammat meñ
tū ne maqtal samajh liyā thā dil
kyā milā tujh ko is baġhāvat meñ
tū mujhe ye batā ke to jaatā
kaise jiite haiñ yaar furqat meñ
tum kabhī paḌh nahīñ sakoge ġham
jo likhe haiñ 'habīb' ke ḳhat meñ
mang pas-e-wafa mohabbat mein
ruTh jata hai yar hasrat mein
zikr maujudgi ka karta hai
pas rahta nahin wo ghurbat mein
sunte hi naghma-e-wafa mera
aa hi jata hai phir wo harkat mein
haal puchha na kar tu ab mera
ab rakha kuchh nahin tabi'at mein
kar diya pal mein reza reza dil
ab lagegi sadi marammat mein
tu ne maqtal samajh liya tha dil
kya mila tujh ko is baghawat mein
tu mujhe ye bata ke to jata
kaise jite hain yar furqat mein
tum kabhi paDh nahin sakoge gham
jo likhe hain 'habib' ke KHat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.