mange baghair mujhko apni kitab dena
māñge baġhair mujh ko apnī kitāb denā
us meñ chhupā ke mere ḳhat kā javāb denā
dekhā use to muñh se be-sāḳhta ye niklā
denā jise bhī yārab aisā shabāb denā
mujh meñ samā na jaa.e is zindagī kī talḳhī
saaqī sharāb denā saaqī sharāb denā
guzre haiñ zindagī meñ aise bhī din 'rishī' par
ḳhud hī savāl karnā ḳhud hī javāb denā
mange baghair mujh ko apni kitab dena
us mein chhupa ke mere KHat ka jawab dena
dekha use to munh se be-saKHta ye nikla
dena jise bhi yarab aisa shabab dena
mujh mein sama na jae is zindagi ki talKHi
saqi sharab dena saqi sharab dena
guzre hain zindagi mein aise bhi din 'rishi' par
KHud hi sawal karna KHud hi jawab dena
- Book : Nuquush-e-daaG (Pg. 162)
- Author : Sahir Hoshiyarpuri
- Publication : Haryana Urdu Acadami (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.