mangi hai jaan aapne iman lijiye
māñgī hai jaan aap ne īmān lījiye
ab to ḳhudā ke vāste pahchān lījiye
dār-o-rasan kā kis liye ehsān lījiye
lutf-o-karam se aap mirī jaan lījiye
māyūsiyoñ se farhat-e-armān lījiye
majbūriyoñ se sūrat-e-imkān lījiye
mujh ko najāt dījiye merī taḌap se aap
lekin taḌap hayāt hai ye jaan lījiye
āvāz hai jaras kī ye koī ġhazal nahīñ
merī fuġhāñ hai duur se pahchān lījiye
dekheñ 'rafīq' daam se bachtā hai kis tarah
shāhīñ asiir karnā hai ye Thaan lījiye
mangi hai jaan aap ne iman lijiye
ab to KHuda ke waste pahchan lijiye
dar-o-rasan ka kis liye ehsan lijiye
lutf-o-karam se aap meri jaan lijiye
mayusiyon se farhat-e-arman lijiye
majburiyon se surat-e-imkan lijiye
mujh ko najat dijiye meri taDap se aap
lekin taDap hayat hai ye jaan lijiye
aawaz hai jaras ki ye koi ghazal nahin
meri fughan hai dur se pahchan lijiye
dekhen 'rafiq' dam se bachta hai kis tarah
shahin asir karna hai ye Than lijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.