mangne se to hukumat nahin milne wali
māñgne se to hukūmat nahīñ milne vaalī
bhiik meñ ham ko ye azmat nahīñ milne vaalī
gar yahī haal zamāne meñ ta.assub kā rahā
aage nasloñ meñ mohabbat nahīñ milne vaalī
dūsroñ kā bhī adab karnā zarūrī hai bahut
talḳh lahje se to izzat nahīñ milne vaalī
maut kā vaqt muayyan hai azal se is meñ
kisī lamhe kī bhī mohlat nahīñ milne vaalī
vaqt ne baḳhshī haiñ sāñseñ to kamā le nekī
ba.ad marne ke ye daulat nahīñ milne vaalī
zikr-e-ma.abūd hī taskīn kā sāmāñ hogā
zikr duniyā meñ to rāhat nahīñ milne vaalī
vo jo maañ baap kī izzat nahīñ karte 'gauhar'
un se kah do unheñ jannat nahīñ milne vaalī
mangne se to hukumat nahin milne wali
bhik mein hum ko ye azmat nahin milne wali
gar yahi haal zamane mein tassub ka raha
aage naslon mein mohabbat nahin milne wali
dusron ka bhi adab karna zaruri hai bahut
talKH lahje se to izzat nahin milne wali
maut ka waqt muayyan hai azal se is mein
kisi lamhe ki bhi mohlat nahin milne wali
waqt ne baKHshi hain sansen to kama le neki
baad marne ke ye daulat nahin milne wali
zikr-e-mabud hi taskin ka saman hoga
zikr duniya mein to rahat nahin milne wali
wo jo man bap ki izzat nahin karte 'gauhar'
un se kah do unhen jannat nahin milne wali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.