mango ho abhi dil mujhe nadan samajh kar
mango ho abhi dil mujhe nadan samajh kar
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
māñgo ho abhī dil mujhe nādān samajh kar
phir dūñgā javāb is kā mirī jaan samajh kar
bach jā.iyoñ kambaḳht mirī baḳht-e-siyah se
yaañ aa.iyo to ai shab-e-hijrān samajh kar
kyā kaam mah-e-nau se mujhe maiñ use har dam
dekhūñ huuñ tirā aks-e-garebān samajh kar
rañg apnā huā sunte hī multānī kī miTTī
to kiijo safar jānib-e-multān samajh kar
nau roz hai aur sāqī-e-kausar kā hai ab daur
iizā de mujhe gardish-e-daurān samajh kar
kalkatta meñ ulfat kī governor hai sadā ishq
āmāda ho tū rustam-e-dastān samajh kar
major ne junūñ kī hai ye tayyār kī palTan
haañ dekh saf-e-ḳhār-e-muġhīlān samajh kar
jarnail to sahrā meñ haiñ aur koh meñ karnail
hai shahr meñ chhoḌā mujhe kaptān samajh kar
kyā mohtasib-e-shahr kad-o-bair se legā
ham karte haiñ paimāna se paimān samajh kar
yārab maiñ kahāñ jā.ūñ ki har dam but-e-kāfir
iizā mujhe detā hai musalmān samajh kar
hub bakne lagā shab ko jo vo ġhusse se mun.im
ik rahm sā aayā mujhe hizyān samajh kar
armān se armān hai armān na tū ne
armān nikāle mire armān samajh kar
dil sard hai tum se ki ba-īñ garm tapā ke
yak shab bhī na yaañ so.e zamistān samajh kar
myaañ bos abhī lūñgā dharī rahvegī tarvār
gaalī na sunā sab ko tū yaksān samajh kar
mango ho abhi dil mujhe nadan samajh kar
phir dunga jawab is ka meri jaan samajh kar
bach jaiyon kambaKHt meri baKHt-e-siyah se
yan aaiyo to ai shab-e-hijran samajh kar
kya kaam mah-e-nau se mujhe main use har dam
dekhun hun tera aks-e-gareban samajh kar
rang apna hua sunte hi multani ki miTTi
to kijo safar jaanib-e-multan samajh kar
nau roz hai aur saqi-e-kausar ka hai ab daur
iza de mujhe gardish-e-dauran samajh kar
kalkatta mein ulfat ki gowernor hai sada ishq
aamada ho tu rustam-e-dastan samajh kar
major ne junun ki hai ye tayyar ki palTan
han dekh saf-e-KHar-e-mughilan samajh kar
jarnail to sahra mein hain aur koh mein karnail
hai shahr mein chhoDa mujhe kaptan samajh kar
kya mohtasib-e-shahr kad-o-bair se lega
hum karte hain paimana se paiman samajh kar
yarab main kahan jaun ki har dam but-e-kafir
iza mujhe deta hai musalman samajh kar
hub bakne laga shab ko jo wo ghusse se munim
ek rahm sa aaya mujhe hizyan samajh kar
arman se arman hai arman na tu ne
arman nikale mere arman samajh kar
dil sard hai tum se ki ba-in garm tapa ke
yak shab bhi na yan soe zamistan samajh kar
myan bos abhi lunga dhari rahwegi tarwar
gali na suna sab ko tu yaksan samajh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.