manind-e-hawa pal mein guzar jaega koi
mānind-e-havā pal meñ guzar jā.egā koī
aa.e na agar aap to mar jā.egā koī
ye raat kā sannāTā udāsī kā ye aalam
is haal meñ dīvāne se Dar jā.egā koī
nākām-e-tamannā ko yūñhī jalne do varna
chheḌoge jo tum raakh bikhar jā.egā koī
pahlī hī mulāqāt baḌhā degī mohabbat
ma.alūm na thā dil meñ utar jā.egā koī
zinda huuñ isī aas pe 'ġhamgīn' maiñ ab tak
ik roz mire zaḳhm ko bhar jā.egā koī
manind-e-hawa pal mein guzar jaega koi
aae na agar aap to mar jaega koi
ye raat ka sannaTa udasi ka ye aalam
is haal mein diwane se Dar jaega koi
nakaam-e-tamanna ko yunhi jalne do warna
chheDoge jo tum rakh bikhar jaega koi
pahli hi mulaqat baDha degi mohabbat
malum na tha dil mein utar jaega koi
zinda hun isi aas pe 'ghamgin' main ab tak
ek roz mere zaKHm ko bhar jaega koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.