manind-e-shama-e-bazm pighalne ke waste
mānind-e-sham.a-e-bazm pighalne ke vāste
paidā huā huuñ ishq meñ jalne ke vāste
vo naaz kar rahe haiñ shab-e-vasl aur idhar
armāñ taḌap rahe haiñ nikalne ke vāste
bulbul se kah do sheva-e-faryād chhoḌ de
ā.eñge baaġh meñ vo Tahalne ke vāste
rone ko hijr-e-yār meñ āñkheñ atā huiiñ
baḳhshā gayā hai dil bhī machalne ke vāste
sach pūchhiye to ishq meñ ḳhud ko badal liyā
ham ne ḳhayāl-e-yār badalne ke vāste
'hājir' qarār dil ko na aaya kisī tarah
kyā kyā kiyā na is ke bahalne ke vāste
manind-e-shama-e-bazm pighalne ke waste
paida hua hun ishq mein jalne ke waste
wo naz kar rahe hain shab-e-wasl aur idhar
arman taDap rahe hain nikalne ke waste
bulbul se kah do shewa-e-faryaad chhoD de
aaenge bagh mein wo Tahalne ke waste
rone ko hijr-e-yar mein aankhen ata huin
baKHsha gaya hai dil bhi machalne ke waste
sach puchhiye to ishq mein KHud ko badal liya
hum ne KHayal-e-yar badalne ke waste
'hajir' qarar dil ko na aaya kisi tarah
kya kya kiya na is ke bahalne ke waste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.