maniye baat meri saz badalte rahiye
māniye baat mirī saaz badalte rahiye
kabhī lahja kabhī āvāz badalte rahiye
ek hī taur jo apnāyā to phañs jā.eñge
jaise hālāt hoñ andāz badalte rahiye
shikva-e-shūmī-e-taqdīr to nādānī hai
aap tadbīr se parvāz badalte rahiye
hai munāsib yahī is duniyā meñ jiine ke liye
dam ghuTe jis se vo dam-sāz badalte rahiye
aa ga.e aap sanam-ḳhāne meñ to yaad rahe
apne sajdoñ ke bhī andāz badalte rahiye
chāhte haiñ ki ho izzat kā tahaffuz har dam
dost badle haiñ to phir raaz badalte rahiye
asr-e-hāzir kā taqāzā to yahī hai 'monis'
raaz kī baat hai ham-rāz badalte rahiye
maniye baat meri saz badalte rahiye
kabhi lahja kabhi aawaz badalte rahiye
ek hi taur jo apnaya to phans jaenge
jaise haalat hon andaz badalte rahiye
shikwa-e-shumi-e-taqdir to nadani hai
aap tadbir se parwaz badalte rahiye
hai munasib yahi is duniya mein jine ke liye
dam ghuTe jis se wo dam-saz badalte rahiye
aa gae aap sanam-KHane mein to yaad rahe
apne sajdon ke bhi andaz badalte rahiye
chahte hain ki ho izzat ka tahaffuz har dam
dost badle hain to phir raaz badalte rahiye
asr-e-hazir ka taqaza to yahi hai 'monis'
raaz ki baat hai ham-raaz badalte rahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.