manjhi buDha naw purani
māñjhī būḌhā naav purānī
aur havā.eñ haiñ tūfānī
us par turra tārīkī hai
aur nadī meñ hai tuġhyānī
mil pā.egī manzil kaise
barkhā-rut hai gahrā paanī
ḳhulq vafā īsār kī bāteñ
lagtī haiñ ab misl-e-kahānī
piirī daur-e-ḳhizāñ kī maz.har
aur bahārāñ ahd-e-javānī
'farhat' ġham ke do pahlū haiñ
ḳhushk-labī aur tar-dāmānī
manjhi buDha naw purani
aur hawaen hain tufani
us par turra tariki hai
aur nadi mein hai tughyani
mil paegi manzil kaise
barkha-rut hai gahra pani
KHulq wafa isar ki baaten
lagti hain ab misl-e-kahani
piri daur-e-KHizan ki mazhar
aur bahaaran ahd-e-jawani
'farhat' gham ke do pahlu hain
KHushk-labi aur tar-damani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.