manjhi teri kashti ke talabgar bahut hain
māñjhī tirī kashtī ke talabgār bahut haiñ
kuchh log haiñ is paar to us paar bahut haiñ
jis shahr meñ patthar kī dukāñ kholī hai tū ne
us shahr meñ shīshe ke ḳharīdār bahut haiñ
ab tak na banā paa.e koī tāj-mahal aur
kahne ko to is shahr meñ me.amār bahut haiñ
tum shor-e-anal-haq ko dabā hī nahīñ sakte
ye jaan lo mansūr sar-e-dār bahut haiñ
ḳhud apne samajhne kā nahīñ hai koī me.aar
auroñ ko samajhne ke to me.aar bahut haiñ
kuchh soch ke tum shahr kī rāhoñ se guzarnā
do ek jo apne haiñ to aġhyār bahut haiñ
kahne ko to bastī hai ye shorīda-saroñ kī
dīvāne magar chand haiñ hushiyār bahut haiñ
kyā pāoge insāf kī zanjīr hilā kar
is shahr meñ qātil ke taraf-dār bahut haiñ
hālāt sabhī ek havādis bhī sabhī ek
ḳhabreñ bhī sabhī ek haiñ aḳhbār bahut haiñ
maiñ jā ke 'umar' apnī ġhazal kis ko sunā.ūñ
is shahr-e-suḳhan-dāñ meñ to fankār bahut haiñ
manjhi teri kashti ke talabgar bahut hain
kuchh log hain is par to us par bahut hain
jis shahr mein patthar ki dukan kholi hai tu ne
us shahr mein shishe ke KHaridar bahut hain
ab tak na bana pae koi taj-mahal aur
kahne ko to is shahr mein meamar bahut hain
tum shor-e-anal-haq ko daba hi nahin sakte
ye jaan lo mansur sar-e-dar bahut hain
KHud apne samajhne ka nahin hai koi mear
auron ko samajhne ke to mear bahut hain
kuchh soch ke tum shahr ki rahon se guzarna
do ek jo apne hain to aghyar bahut hain
kahne ko to basti hai ye shorida-saron ki
diwane magar chand hain hushiyar bahut hain
kya paoge insaf ki zanjir hila kar
is shahr mein qatil ke taraf-dar bahut hain
haalat sabhi ek hawadis bhi sabhi ek
KHabren bhi sabhi ek hain aKHbar bahut hain
main ja ke 'umar' apni ghazal kis ko sunaun
is shahr-e-suKHan-dan mein to fankar bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.