manne ko to mante hain sab
mānñe ko to mānte haiñ sab
sab magar mujh ko jānte haiñ kab
sab ke chehroñ ko paḌhtā rahtā hai
ā.īna ḳhud ko dekhtā hai kab
munsifī ḳhud hī jab ho be-kirdār
kaisī tāzīm kaisā pās-e-adab
hone vaalā nahīñ kisī pe asar
apne zaḳhmoñ ko kyoñ na Dhak leñ ab
maut hī zindagī kā hāsil hai
maut hotī hai zindagī kā sabab
ab havā sāzgār hai pyāre
vaqt-e-tash.hīr zaḳhm-e-qalb hai ab
maut us kā bigāḌ saktī hai kyā
ziist Dhātī hai ḳhud hī ḳhud pe ġhazab
manne ko to mante hain sab
sab magar mujh ko jaante hain kab
sab ke chehron ko paDhta rahta hai
aaina KHud ko dekhta hai kab
munsifi KHud hi jab ho be-kirdar
kaisi tazim kaisa pas-e-adab
hone wala nahin kisi pe asar
apne zaKHmon ko kyon na Dhak len ab
maut hi zindagi ka hasil hai
maut hoti hai zindagi ka sabab
ab hawa sazgar hai pyare
waqt-e-tashhir zaKHm-e-qalb hai ab
maut us ka bigaD sakti hai kya
zist Dhati hai KHud hi KHud pe ghazab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.