manus fitratan hain gham-e-ashiqi se hum
mānūs fitratan haiñ ġham-e-āshiqī se ham
phir kyuuñ na tere naaz uThā.eñ ḳhushī se ham
jab se yaqīñ huā hai vahī kārsāz haiñ
ab apnā haal kahte nahīñ har kisī se ham
ḳhāmosh zindagī bhī dalīl-e-bahār hai
ye dars le rahe haiñ chaman meñ kalī se ham
ye aur baat hai ki hameñ kuchh gila bhī hai
munkir nahīñ magar tirī dariyā-dilī se ham
dil-soz-o-dil-ḳharāsh hai ye jāda-e-hayāt
lekin guzar rahe haiñ baḌī sādgī se ham
ye fikr ye ḳhayāl 'azīz' aap kā na ho
kuchh sher sun rahe the abhī 'vārsī' se ham
manus fitratan hain gham-e-ashiqi se hum
phir kyun na tere naz uThaen KHushi se hum
jab se yaqin hua hai wahi karsaz hain
ab apna haal kahte nahin har kisi se hum
KHamosh zindagi bhi dalil-e-bahaar hai
ye dars le rahe hain chaman mein kali se hum
ye aur baat hai ki hamein kuchh gila bhi hai
munkir nahin magar teri dariya-dili se hum
dil-soz-o-dil-KHarash hai ye jada-e-hayat
lekin guzar rahe hain baDi sadgi se hum
ye fikr ye KHayal 'aziz' aap ka na ho
kuchh sher sun rahe the abhi 'warsi' se hum
- Book : Mehraab (Pg. 52)
- Author : Aziiz vaarsii
- Publication : Maktaba Nida-e-ittiihaad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.