mar Dala mujhe furqat ne qaza se pahle
maar Daalā mujhe furqat ne qazā se pahle
ho gayā kaam adā un kī adā se pahle
sabqat ehsān ko hai un ke mire isyāñ par
afv karte haiñ ḳhatā ko vo ḳhatā se pahle
ham ne sikhlā.e haiñ andāz-e-vafā-o-iḳhlās
āgahī kab thī unheñ rasm-e-vafā se pahle
kyoñ na taqdīm mire kufr ko islām pe ho
but kalīsā meñ nazar aa.e ḳhudā se pahle
mar Dala mujhe furqat ne qaza se pahle
ho gaya kaam ada un ki ada se pahle
sabqat ehsan ko hai un ke mere isyan par
afw karte hain KHata ko wo KHata se pahle
hum ne sikhlae hain andaz-e-wafa-o-iKHlas
aagahi kab thi unhen rasm-e-wafa se pahle
kyon na taqdim mere kufr ko islam pe ho
but kalisa mein nazar aae KHuda se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.