mar do mujhko be-haya hun main
maar do mujh ko be-hayā huuñ maiñ
tere siine ko tāktā huuñ maiñ
ab to kuchh yaad hī nahīñ ḳhud se
āḳhirī baar kab milā huuñ maiñ
aap kī shādmānī kī ḳhātir
bārhā jhuuT boltā huuñ maiñ
ashk jo hijr meñ bahā.e the
ġham-zadoñ ko pilā rahā huuñ maiñ
zindagī tū nahīñ ḳhafā mujh se
zindagī tujh se to ḳhafā huuñ maiñ
surma.ī āñkhoñ ko zarā kholo
ġhaur se dekh lo judā huuñ maiñ
dāvar-e-hashr itnā kah de bas
ḳhush raho terā aasrā huuñ maiñ
mar do mujh ko be-haya hun main
tere sine ko takta hun main
ab to kuchh yaad hi nahin KHud se
aaKHiri bar kab mila hun main
aap ki shadmani ki KHatir
barha jhuT bolta hun main
ashk jo hijr mein bahae the
gham-zadon ko pila raha hun main
zindagi tu nahin KHafa mujh se
zindagi tujh se to KHafa hun main
surmai aankhon ko zara kholo
ghaur se dekh lo juda hun main
dawar-e-hashr itna kah de bas
KHush raho tera aasra hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.