mare ghusse ke ghazab ki tab ruKHsaron mein hai
maare ġhusse ke ġhazab kī taab ruḳhsāroñ meñ hai
kal to thī phūloñ meñ gintī aaj añgāroñ meñ hai
tab kī sozish se mire chehre kī surḳhī dekhnā
kuchh tumheñ ḳhush-rū nahīñ ye phir tarah-dāroñ meñ hai
ruuh tere ghar ko chhoḌe ye kabhī mumkin nahīñ
jism merā ḳhaak ho kar us kī dīvāroñ meñ hai
itnī zardī saarī duniyā kī ḳhizāñ meñ bhī na ho
jitnī aur zālim tirī ulfat ke bīmāroñ meñ hai
yā ghaTe kuchh ishq merā yā baḌhe duniyā meñ husn
ye to nā-kāfī hai jitnā un dil-āzāroñ meñ hai
aa.ine meñ Dāltā hai ruḳh pe merī sī nigāh
tū bhī mere saath ulfat ke gunahgāroñ meñ hai
qudrat itne naaz paidā kar sakegī yā nahīñ
un kā jitnā sarf tere nāz-bardāroñ meñ hai
mas.ala kasrat meñ vahdat kā huā hal tum se ḳhuub
ek hī jhuuT aur tumhāre laakh iqrāroñ meñ hai
qaid meñ kitnī baḌhī mere junūñ kī kāhilī
us se kam hai jitnī duniyā bhar ke be-kāroñ meñ hai
chāñd hī kah de jo dekhā ho kahīñ tujh sā hasīñ
us ne bhī dekhī hai duniyā ye bhī sayyāroñ meñ hai
kufr ne islām ko shāyad kahīñ maarā ki 'shauq'
mātamī poshāk se ka.aba azādāroñ meñ hai
mare ghusse ke ghazab ki tab ruKHsaron mein hai
kal to thi phulon mein ginti aaj angaron mein hai
tab ki sozish se mere chehre ki surKHi dekhna
kuchh tumhein KHush-ru nahin ye phir tarah-daron mein hai
ruh tere ghar ko chhoDe ye kabhi mumkin nahin
jism mera KHak ho kar us ki diwaron mein hai
itni zardi sari duniya ki KHizan mein bhi na ho
jitni aur zalim teri ulfat ke bimaron mein hai
ya ghaTe kuchh ishq mera ya baDhe duniya mein husn
ye to na-kafi hai jitna un dil-azaron mein hai
aaine mein Dalta hai ruKH pe meri si nigah
tu bhi mere sath ulfat ke gunahgaron mein hai
qudrat itne naz paida kar sakegi ya nahin
un ka jitna sarf tere naz-bardaron mein hai
masala kasrat mein wahdat ka hua hal tum se KHub
ek hi jhuT aur tumhaare lakh iqraron mein hai
qaid mein kitni baDhi mere junun ki kahili
us se kam hai jitni duniya bhar ke be-karon mein hai
chand hi kah de jo dekha ho kahin tujh sa hasin
us ne bhi dekhi hai duniya ye bhi sayyaron mein hai
kufr ne islam ko shayad kahin mara ki 'shauq'
matami poshak se kaba azadaron mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.