Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

marka KHatm hua jang abhi jari hai

Kanti Mohan Soz

marka KHatm hua jang abhi jari hai

Kanti Mohan Soz

MORE BYKanti Mohan Soz

    ma.arka ḳhatm huā jañg abhī jaarī hai

    dil māneñ ki ḳhirad yahī dushvārī hai

    koī pattā nahīñ hiltā hai na khultī hai zabāñ

    aah phir se kisī tūfān tayyārī hai

    kyuuñ na ye dekh ke bīnā.ī daġhā de jaa.e

    shams par bhī abhī zulmat fusūñ taarī hai

    ab ye hasrat bhī liye jaate haiñ dil dil meñ

    ye to kah lete tirā tiir bahut kaarī hai

    haa.e kam-zarfī-e-dil ne kahīñ na rakhā

    aah ne kah diyā ta.azīr bahut bhārī hai

    tere mashkūr haiñ hamdam kiyā vāzeh ne

    fe.al-e-ġhārat-garī sayyād nā-chārī hai

    vaqt-e-furqat ye karam 'soz' pe barpā kar de

    hañs ke kah de ki ye in.ām-e-vafādārī hai

    marka KHatm hua jang abhi jari hai

    dil ki manen ki KHirad ki yahi dushwari hai

    koi patta nahin hilta hai na khulti hai zaban

    aah phir se kisi tufan ki tayyari hai

    kyun na ye dekh ke binai dagha de jae

    shams par bhi abhi zulmat ka fusun tari hai

    ab ye hasrat bhi liye jate hain dil ki dil mein

    ye to kah lete tera tir bahut kari hai

    hae kam-zarfi-e-dil tu ne kahin ka na rakha

    aah ne kah diya tazir bahut bhaari hai

    tere mashkur hain hamdam kiya wazeh tu ne

    feal-e-ghaarat-gari sayyaad ki na-chaari hai

    waqt-e-furqat ye karam 'soz' pe barpa kar de

    hans ke kah de ki ye inam-e-wafadari hai

    Source :
    • Book : Gunaah-e-sukhan (Pg. 76)
    • Author : Kanti Mohan 'Soz'
    • Publication : Kanti Mohan 'Soz' (1990)
    • Edition : 1990
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now