mashuqa-e-naqab naqab mein hai
māshūqa-e-naqāb naqāb meñ hai
mahjūba abhī hijāb meñ hai
mehñdī na lagā ki jaan merī
hāthoñ se tire azaab meñ hai
tū hai vo balā ki maah o ḳhurshīd
zulfoñ kī tire rikāb meñ hai
har ik tujhe aap sā kahe hai
qaziya mah o āftāb meñ hai
allāh-re tire pasīne kī bū
kab aisī bhabhak gulāb meñ hai
is zulf kā aiñThnā to dekho
bin chheḌe hī pech-o-tāb meñ hai
qahhārī kī shaan jab se terī
aalam ke uupar itaab meñ hai
dil koh kā ho gayā hai paanī
dariyā sab iztirāb meñ hai
uTh 'mus.hafī' āftāb niklā
ab tak tū divāne ḳhvāb meñ hai
mashuqa-e-naqab naqab mein hai
mahjuba abhi hijab mein hai
mehndi na laga ki jaan meri
hathon se tere azab mein hai
tu hai wo bala ki mah o KHurshid
zulfon ki tere rikab mein hai
har ek tujhe aap sa kahe hai
qaziya mah o aaftab mein hai
allah-re tere pasine ki bu
kab aisi bhabhak gulab mein hai
is zulf ka ainThna to dekho
bin chheDe hi pech-o-tab mein hai
qahhaari ki shan jab se teri
aalam ke upar itab mein hai
dil koh ka ho gaya hai pani
dariya sab iztirab mein hai
uTh 'mushafi' aaftab nikla
ab tak tu diwane KHwab mein hai
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwal) (Pg. 414)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.