mathe pe shikan la na in aankhon mein ghazab likh
māthe pe shikan lā na in āñkhoñ meñ ġhazab likh
ai dost ḳhafā kyoñ hai mujhe is kā sabab likh
gūñgī haiñ fazā.eñ to shajar bhī hue bahre
mat shāḳh-e-tamannā pe koī arz-e-talab likh
ik us kī mohabbat ke bulāve ko bhī sun le
jā saf.ha-e-ruḳhsār pe kuchh garmi-e-lab likh
arzī pe tujhe varna taraqqī na milegī
auqāt batā apnī koī nām-o-nasab likh
mausam kī tarah tujh ko badalnā hai 'azīm' ab
ḳhāmoshī-e-guftār kahīñ shor-o-shaġhab likh
mathe pe shikan la na in aankhon mein ghazab likh
ai dost KHafa kyon hai mujhe is ka sabab likh
gungi hain fazaen to shajar bhi hue bahre
mat shaKH-e-tamanna pe koi arz-e-talab likh
ek us ki mohabbat ke bulawe ko bhi sun le
ja safha-e-ruKHsar pe kuchh garmi-e-lab likh
arzi pe tujhe warna taraqqi na milegi
auqat bata apni koi nam-o-nasab likh
mausam ki tarah tujh ko badalna hai 'azim' ab
KHamoshi-e-guftar kahin shor-o-shaghab likh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.