mawara-e-ram-o-raftar guzarti hui sham
māvarā-e-ram-o-raftār guzartī huī shaam
saañs letī huī siine meñ utartī huī shaam
aur se aur huā jaatā rahā rang-e-shafaq
kyā kisī shāne pe simTī hai bikhartī huī shaam
aañkh ke gird siyāhī sī utar aatī huī
aur kahīñ duur bahut duur Thahartī huī shaam
kyā 'ilāqa hai ki ik jast pe mauqūf huā
kyā ḳhabar jī uThe ik aan meñ martī huī shaam
kyā ḳhabar hai ki mire dil meñ achānak aa jaa.e
aur tham jaa.e ThiThurtī huī Dartī huī shaam
is bahāo meñ bahe jaane se kyā rokegī
ik siyah phuul sā dahlīz pe dhartī huī shaam
ḳhvāb-āsār hue jaane lage haiñ dar-o-bām
kaisī vahshat liye phirtī hai ubhartī huī shaam
mawara-e-ram-o-raftar guzarti hui sham
sans leti hui sine mein utarti hui sham
aur se aur hua jata raha rang-e-shafaq
kya kisi shane pe simTi hai bikharti hui sham
aankh ke gird siyahi si utar aati hui
aur kahin dur bahut dur Thaharti hui sham
kya 'ilaqa hai ki ek jast pe mauquf hua
kya KHabar ji uThe ek aan mein marti hui sham
kya KHabar hai ki mere dil mein achanak aa jae
aur tham jae ThiThurti hui Darti hui sham
is bahao mein bahe jaane se kya rokegi
ek siyah phul sa dahliz pe dharti hui sham
KHwab-asar hue jaane lage hain dar-o-baam
kaisi wahshat liye phirti hai ubharti hui sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.