mayus andheron se na a dida-e-tar ho
māyūs añdheroñ se na a dīda-e-tar ho
āḳhir to kabhī is shab-e-ġham kī bhī sahar ho
ab shauq kā iz.hār ba-andāz-e-digar ho
dil TuuT bhī jaa.e to kisī ko na ḳhabar ho
shāyad ki kabhī us ko bhī ho jaa.e mohabbat
shāyad ki kabhī us kī bhī āñkhoñ meñ basar ho
ho dil meñ bapā hashr to ho lab pe ḳhamoshī
yuuñ kījiye ulfat ki unheñ bhī na ḳhabar ho
va.ada to huā hai ki vo ā.eñge sar-e-shām
ab dekhiye kis rang meñ is shab kī sahar ho
kab tak maiñ rahūñ mahv-e-sukūt-e-shab-e-hijrāñ
ai qalb-e-hazīñ naala bapā kar ki sahar ho
ik umr kaTī ḳhāna-badoshī meñ hamārī
hasrat hai ki duniyā meñ koī apnā bhī ghar ho
tum vāris-e-jamshed-o-sikandar sahī lekin
ai kaash tumheñ apne vatan kī bhī ḳhabar ho
sejoñ pe kaTe umr ki kāñToñ pe 'tabassum'
bas ek tamanna hai mohabbat meñ basar ho
mayus andheron se na a dida-e-tar ho
aaKHir to kabhi is shab-e-gham ki bhi sahar ho
ab shauq ka izhaar ba-andaz-e-digar ho
dil TuT bhi jae to kisi ko na KHabar ho
shayad ki kabhi us ko bhi ho jae mohabbat
shayad ki kabhi us ki bhi aankhon mein basar ho
ho dil mein bapa hashr to ho lab pe KHamoshi
yun kijiye ulfat ki unhen bhi na KHabar ho
wada to hua hai ki wo aaenge sar-e-sham
ab dekhiye kis rang mein is shab ki sahar ho
kab tak main rahun mahw-e-sukut-e-shab-e-hijran
ai qalb-e-hazin nala bapa kar ki sahar ho
ek umr kaTi KHana-badoshi mein hamari
hasrat hai ki duniya mein koi apna bhi ghar ho
tum waris-e-jamshed-o-sikandar sahi lekin
ai kash tumhein apne watan ki bhi KHabar ho
sejon pe kaTe umr ki kanTon pe 'tabassum'
bas ek tamanna hai mohabbat mein basar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.