mayus itne ho gae tira-shabi se hum
māyūs itne ho ga.e tīra-shabī se ham
dāman bachā.e phirte haiñ ab raushnī se ham
ai gardish-e-zamāna hameñ dhamkiyāñ na de
har vaqt kaam lete haiñ zinda-dilī se ham
jo haiñ buland hausla kahte nahīñ kabhī
tang aa ga.e haiñ kashmakash-e-zindagī se ham
un kī nigāh-e-lutf hai ġhairoñ pe āj-kal
baiThe hue haiñ bazm meñ ik ajnabī se ham
har ik se māñgne kī to aadat nahīñ hameñ
karte haiñ jab savāl to bas aap hī se ham
dard-e-jigar kuchh aur sivā ho gayā 'nasīr'
baaz aa.e aise logoñ kī chāragarī se ham
mayus itne ho gae tira-shabi se hum
daman bachae phirte hain ab raushni se hum
ai gardish-e-zamana hamein dhamkiyan na de
har waqt kaam lete hain zinda-dili se hum
jo hain buland hausla kahte nahin kabhi
tang aa gae hain kashmakash-e-zindagi se hum
un ki nigah-e-lutf hai ghairon pe aaj-kal
baiThe hue hain bazm mein ek ajnabi se hum
har ek se mangne ki to aadat nahin hamein
karte hain jab sawal to bas aap hi se hum
dard-e-jigar kuchh aur siwa ho gaya 'nasir'
baz aae aise logon ki chaaragari se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.