mayus lauT aai jahan tak nazar gai
māyūs lauT aa.ī jahāñ tak nazar ga.ī
sāhil kī justujū meñ qayāmat guzar ga.ī
bijlī girī chaman pe magar āshiyāñ jalā
aa.ī thī kis kī maut qazā kis ke sar ga.ī
bīmār-e-ġham ke do hī the mushkil-kushā magar
aa.e na tum qazā bhī kahīñ jā ke mar ga.ī
ik ye bhī zindagī hai ki rote haiñ rāt-din
ik vo bhī zindagī thī ki hañste guzar ga.ī
aa.e haiñ jab chaman meñ vo hamrāh ġhair ke
har gul ke saath ġhair pe apnī nazar ga.ī
gul fasl-e-gul meñ yuuñ to 'riyāzī' khile magar
pūchho na us kalī kī jo khil kar bikhar ga.ī
mayus lauT aai jahan tak nazar gai
sahil ki justuju mein qayamat guzar gai
bijli giri chaman pe magar aashiyan jala
aai thi kis ki maut qaza kis ke sar gai
bimar-e-gham ke do hi the mushkil-kusha magar
aae na tum qaza bhi kahin ja ke mar gai
ek ye bhi zindagi hai ki rote hain raat-din
ek wo bhi zindagi thi ki hanste guzar gai
aae hain jab chaman mein wo hamrah ghair ke
har gul ke sath ghair pe apni nazar gai
gul fasl-e-gul mein yun to 'riyazi' khile magar
puchho na us kali ki jo khil kar bikhar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.