mayus mere gham se na ho chaaragar kahin
māyūs mere ġham se na ho chārāgar kahīñ
ghabrā ke kah na jaa.e ki be-maut mar kahīñ
dil ko bhī ab jalā na de soz-e-jigar kahīñ
barbād ho na jaa.e mirā ye bhī ghar kahīñ
vo aa.ine meñ mahv haiñ maiñ un meñ mahv huuñ
merī nazar kahīñ hai to un kī nazar kahīñ
ai paikar-e-jamīl tujhe yaad ho na ho
tujh se kabhī mile to the ham beshtar kahīñ
kyā marhale haiñ rāh-e-mohabbat ke marhale
dil par kahīñ banī hai mirī jaan par kahīñ
Thahrā ho ek pal bhī jahāñ kārvān-e-dil
aayā na rāh-e-shauq meñ aisā nagar kahīñ
manzil kī justujū meñ ye aalam hai al-amāñ
roke hue haiñ raah kahīñ rāhbar kahīñ
ham ne baḌe ḳhulūs-o-mohabbat se baat kī
jab bhī hameñ milā hai koī mo'atabar kahīñ
shauq-e-safar to hai dil-e-pur-ishtiyāq ko
ho jaa.e muzmahil na ye vaqt-e-safar kahīñ
roz-e-azal vo dard-e-musalsal atā huā
dil ko sukūn mil na sakā umr bhar kahīñ
us ḳhānumāñ-ḳharāb kā aalam na pūchhiye
jis be-navā kī shaam kahīñ ho sahar kahīñ
har zarra pur-ziyā thā tirī jalva-gāh kā
merī hī thī ḳhatā ki jhukāyā na sar kahīñ
ai ham-safar ye azm-e-safar to bajā sahī
dar-pesh ho na zahmat-e-tūl-e-safar kahīñ
rahne de apne haal meñ mast ai sabā na chheḌ
merā abhī ḳhayāl kahīñ hai nazar kahīñ
bahr-e-ḳhudā na chheḌiye yūsuf kā vāqi.a
be-ābrū huā na koī is qadar kahīñ
tasḳhīr-e-kā.enāt ke da.ave bajā sahī
ham-rutba-e-ḳhudā bhī huā hai bashar kahīñ
ho terī baat baat meñ ik baat ai 'kañval'
be-lutf be-maza na ho fikr-o-nazar kahīñ
mayus mere gham se na ho chaaragar kahin
ghabra ke kah na jae ki be-maut mar kahin
dil ko bhi ab jala na de soz-e-jigar kahin
barbaad ho na jae mera ye bhi ghar kahin
wo aaine mein mahw hain main un mein mahw hun
meri nazar kahin hai to un ki nazar kahin
ai paikar-e-jamil tujhe yaad ho na ho
tujh se kabhi mile to the hum beshtar kahin
kya marhale hain rah-e-mohabbat ke marhale
dil par kahin bani hai meri jaan par kahin
Thahra ho ek pal bhi jahan karwan-e-dil
aaya na rah-e-shauq mein aisa nagar kahin
manzil ki justuju mein ye aalam hai al-aman
roke hue hain rah kahin rahbar kahin
hum ne baDe KHulus-o-mohabbat se baat ki
jab bhi hamein mila hai koi mo'atabar kahin
shauq-e-safar to hai dil-e-pur-ishtiyaq ko
ho jae muzmahil na ye waqt-e-safar kahin
roz-e-azal wo dard-e-musalsal ata hua
dil ko sukun mil na saka umr bhar kahin
us KHanuman-KHarab ka aalam na puchhiye
jis be-nawa ki sham kahin ho sahar kahin
har zarra pur-ziya tha teri jalwa-gah ka
meri hi thi KHata ki jhukaya na sar kahin
ai ham-safar ye azm-e-safar to baja sahi
dar-pesh ho na zahmat-e-tul-e-safar kahin
rahne de apne haal mein mast ai saba na chheD
mera abhi KHayal kahin hai nazar kahin
bahr-e-KHuda na chheDiye yusuf ka waqia
be-abru hua na koi is qadar kahin
tasKHir-e-kaenat ke dawe baja sahi
ham-rutba-e-KHuda bhi hua hai bashar kahin
ho teri baat baat mein ek baat ai 'kanwal'
be-lutf be-maza na ho fikr-o-nazar kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.