mayus zindagi ke sahaare chale gae
māyūs zindagī ke sahāre chale ga.e
Thukrā ke ham ko dost hamāre chale ga.e
ummīd-o-ārzū kī bahāroñ ke saath saath
gulzār-e-zindagī ke nazāre chale ga.e
har manzil-e-hayāt pe un ko kiyā talāsh
har raah meñ ham un ko pukāre chale ga.e
raushan thī jin se merī shab-e-zindagī nadīm
jaane kahāñ vo chāñd sitāre chale ga.e
us bevafā kī yaad ke miTte hue nuqūsh
'nayyar' ham apne dil meñ utāre chale ga.e
mayus zindagi ke sahaare chale gae
Thukra ke hum ko dost hamare chale gae
ummid-o-arzu ki bahaaron ke sath sath
gulzar-e-zindagi ke nazare chale gae
har manzil-e-hayat pe un ko kiya talash
har rah mein hum un ko pukare chale gae
raushan thi jin se meri shab-e-zindagi nadim
jaane kahan wo chand sitare chale gae
us bewafa ki yaad ke miTte hue nuqush
'nayyar' hum apne dil mein utare chale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.