mayusi-e-nigah ka qail nahin raha
māyūsī-e-nigāh kā qaa.il nahīñ rahā
ya.anī tumhārī raah kā qaa.il nahīñ rahā
jab maiñ gunāh-e-ishq kā pāband ho gayā
tab se kisī gunāh kā qaa.il nahīñ rahā
tark-e-ta.alluqāt kā afsos hai magar
tajdīd-e-rasm-o-rāh kā qaa.il nahīñ rahā
jis meñ sivā.e va.ada-e-fardā ke kuchh na ho
aisī kisī nigāh kā qaa.il nahīñ rahā
lab-hā-e-sub.h-o-shām sadā muskurā.eñge
maiñ zindagī meñ aah kā qaa.il nahīñ rahā
mayusi-e-nigah ka qail nahin raha
yani tumhaari rah ka qail nahin raha
jab main gunah-e-ishq ka paband ho gaya
tab se kisi gunah ka qail nahin raha
tark-e-talluqat ka afsos hai magar
tajdid-e-rasm-o-rah ka qail nahin raha
jis mein siwae wada-e-farda ke kuchh na ho
aisi kisi nigah ka qail nahin raha
lab-ha-e-subh-o-sham sada muskuraenge
main zindagi mein aah ka qail nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.