mayusiyon ki hijr mein ab intiha nahin
māyūsiyoñ kī hijr meñ ab intihā nahīñ
ye ḳhauf hai ki kah na uThe dil ḳhudā nahīñ
ham se suno butoñ se agar āshnā nahīñ
ye nāḳhudā-e-kashtī-e-dil haiñ ḳhudā nahīñ
sunte kisī ġharīb kī kyoñ iltijā nahīñ
sab hai tumhāre qabza-e-qudrat meñ kyā nahīñ
ye be-qarārī dil bhī na ḳhud ban sakā hadaf
haañ haañ tumhāre tiir kī koī ḳhatā nahīñ
apnī zabāñ se ham use bedard kyoñ kaheñ
ye aur baat hai ki vo dard-āshnā nahīñ
ab haath zulm se bhī uThāyā ġhazab kiyā
zālim tire sitam kā bhī ab aasrā nahīñ
ab tak to sote hote maze se lahad meñ ham
afsos hai tumhārī adā meñ qazā nahīñ
kaafī hai arz-e-hāl ko hasrat-bharī nigāh
parde kī baat muñh se kahūñ ye ravā nahīñ
kyā ho gayā shabāb ki jaate haiñ rang-e-tab.a
'safdar' tire kalām meñ ab vo mazā nahīñ
mayusiyon ki hijr mein ab intiha nahin
ye KHauf hai ki kah na uThe dil KHuda nahin
hum se suno buton se agar aashna nahin
ye naKHuda-e-kashti-e-dil hain KHuda nahin
sunte kisi gharib ki kyon iltija nahin
sab hai tumhaare qabza-e-qudrat mein kya nahin
ye be-qarari dil bhi na KHud ban saka hadaf
han han tumhaare tir ki koi KHata nahin
apni zaban se hum use bedard kyon kahen
ye aur baat hai ki wo dard-ashna nahin
ab hath zulm se bhi uThaya ghazab kiya
zalim tere sitam ka bhi ab aasra nahin
ab tak to sote hote maze se lahad mein hum
afsos hai tumhaari ada mein qaza nahin
kafi hai arz-e-haal ko hasrat-bhari nigah
parde ki baat munh se kahun ye rawa nahin
kya ho gaya shabab ki jate hain rang-e-taba
'safdar' tere kalam mein ab wo maza nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.