mayusiyon ko oDh ke sona paDa hamein
māyūsiyoñ ko oḌh ke sonā paḌā hameñ
din ko hañse to raat ko ronā paḌā hameñ
vo jis ko DhūñDne meñ guzārī tamām 'umr
ye kyā sitam ki phir use khonā paḌā hameñ
ye iḳhtiyārī faisla thā yā kuchh aur thā
tum se mile to phir judā honā paḌā hameñ
vo ek naam chaah se likkhā thā bārhā
dil se use phir aañkh se dhonā paḌā hameñ
'tārā' kināre aa lagī kashtī jab ek dam
girdāb meñ phir aap ko khonā paḌā hameñ
mayusiyon ko oDh ke sona paDa hamein
din ko hanse to raat ko rona paDa hamein
wo jis ko DhunDne mein guzari tamam 'umr
ye kya sitam ki phir use khona paDa hamein
ye iKHtiyari faisla tha ya kuchh aur tha
tum se mile to phir juda hona paDa hamein
wo ek nam chah se likkha tha barha
dil se use phir aankh se dhona paDa hamein
'tara' kinare aa lagi kashti jab ek dam
girdab mein phir aap ko khona paDa hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.