mazi ka aaj daur-e-tarab yaad aa gaya
maazī kā aaj daur-e-tarab yaad aa gayā
apnī tabāhiyoñ kā sabab yaad aa gayā
jab jab bhī sar uThāne lagā zehn meñ gunāh
tab tab ḳhudā kā qahr-o-ġhazab yaad aa gayā
taz.hīk us ġharīb kī kartā bhī kaise maiñ
mujh ko bhī merā dast-e-talab yaad aa gayā
hairat hai dushmanoñ ko mire haal par agar
apnoñ kā vo karam hai ki rab yaad aa gayā
ab to adab barā.e-adab bhī adab nahīñ
aslāf kā vo daur-e-adab yaad aa gayā
mazi ka aaj daur-e-tarab yaad aa gaya
apni tabahiyon ka sabab yaad aa gaya
jab jab bhi sar uThane laga zehn mein gunah
tab tab KHuda ka qahr-o-ghazab yaad aa gaya
tazhik us gharib ki karta bhi kaise main
mujh ko bhi mera dast-e-talab yaad aa gaya
hairat hai dushmanon ko mere haal par agar
apnon ka wo karam hai ki rab yaad aa gaya
ab to adab barae-adab bhi adab nahin
aslaf ka wo daur-e-adab yaad aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.