mazi ke parastaron mein mujhko na gina kar
maazī ke parastāroñ meñ mujh ko na ginā kar
maiñ haal huuñ to haal ke ahvāl kahā kar
ye 'ishq hai ik aan meñ lazzat nahīñ miltī
qistoñ meñ ise tū mirī ai jaan chakhā kar
mazlūm havāoñ kī ḳhatā koī nahīñ hai
raushan hue kuchh log charāġhoñ ko bujhā kar
ye kaisī fasāhat ki samajh meñ nahīñ aatī
tahrīr-e-mohabbat zarā āsān likhā kar
kyā ġhaur se dekhā hai kabhī chāñd ko 'ahmar'
dekhe hai tumheñ ḳhud ko vo bādal meñ chhupā kar
mazi ke parastaron mein mujh ko na gina kar
main haal hun to haal ke ahwal kaha kar
ye 'ishq hai ek aan mein lazzat nahin milti
qiston mein ise tu meri ai jaan chakha kar
mazlum hawaon ki KHata koi nahin hai
raushan hue kuchh log charaghon ko bujha kar
ye kaisi fasahat ki samajh mein nahin aati
tahrir-e-mohabbat zara aasan likha kar
kya ghaur se dekha hai kabhi chand ko 'ahmar'
dekhe hai tumhein KHud ko wo baadal mein chhupa kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.