mazi ko apne bhul na jaen to kya karen
maazī ko apne bhuul na jaa.eñ to kyā kareñ
kab tak ham āsmān ke taare ginā kareñ
yādoñ ke qāfile ko liye saath kyā kareñ
manzil hī jab nahīñ hai to phir kyoñ chalā kareñ
tum ho hamāre saath to duniyā hai saath saath
jab tum nahīñ ho saath to duniyā ko kyā kareñ
rah rah ke de rahā hai dil āvāz-e-bāz-gasht
aadam kī tarah ham bhī na kyoñ ik ḳhatā kareñ
tanhā.ī duur ho ke rahegī isī tarah
chup-chāp jab bhī vaqt mile ham milā kareñ
ailān-e-haq karūñgā zarūr un ke sāmne
ab chāhe mere sar ko vo tan se judā kareñ
mumkin hai is duā se hī bāb-e-asar khule
aao uThā ke haath ko apne duā kareñ
titlī kī tarah phuul se lipTā rahūñgā maiñ
chalne do laakh tez havā.eñ chalā kareñ
kyā lutf-e-mai vo sāmne 'rāhī' agar nahīñ
uThtī haiñ āsmāñ pe ghaTā.eñ uThā kareñ
mazi ko apne bhul na jaen to kya karen
kab tak hum aasman ke tare gina karen
yaadon ke qafile ko liye sath kya karen
manzil hi jab nahin hai to phir kyon chala karen
tum ho hamare sath to duniya hai sath sath
jab tum nahin ho sath to duniya ko kya karen
rah rah ke de raha hai dil aawaz-e-baz-gasht
aadam ki tarah hum bhi na kyon ek KHata karen
tanhai dur ho ke rahegi isi tarah
chup-chap jab bhi waqt mile hum mila karen
ailan-e-haq karunga zarur un ke samne
ab chahe mere sar ko wo tan se juda karen
mumkin hai is dua se hi bab-e-asar khule
aao uTha ke hath ko apne dua karen
titli ki tarah phul se lipTa rahunga main
chalne do lakh tez hawaen chala karen
kya lutf-e-mai wo samne 'rahi' agar nahin
uThti hain aasman pe ghaTaen uTha karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.