mabda-e-husn se kaise ye juda hai yaksar
mabda-e-husn se kaise ye judā hai yaksar
ki zamān aur makāñ ek adā hai yaksar
ye jo dī hai hameñ āzādī-e-afkār-o-amal
koī batlāo jazā hai ki sazā hai yaksar
vaqt hai teshā-o-shamshīr kā jis meñ kab se
vo hathelī abhī masrūf-e-duā hai yaksar
marhabā jashn-e-jibillat ki nahīñ ham pāband
marhabā ziist ki āzād-e-hayā hai yaksar
baat kahne ko hai kuchh aur jahāñ kā mamdūh
bāl-e-jibrīl nahīñ bāl-e-humā hai yaksar
tū samajhtā hai jise apnā muizz-o-razzāq
ham samajhte haiñ vahī terā ḳhudā hai yaksar
aaj jo fitrat-e-ādam nazar aatī hai hameñ
ye mirī jaan zamāne kī huā hai yaksar
mamba-e-faiz se aatī hai jo rahmat yaañ tak
ye hameñ āl-e-mohammad kī atā hai yaksar
ḳhāliq-e-ḳhatm-e-rusul āl-e-ebā kā masjūd
apnā masjūd magar āl-e-ebā hai yaksar
mabda-e-husn se kaise ye juda hai yaksar
ki zaman aur makan ek ada hai yaksar
ye jo di hai hamein aazadi-e-afkar-o-amal
koi batlao jaza hai ki saza hai yaksar
waqt hai tesha-o-shamshir ka jis mein kab se
wo hatheli abhi masruf-e-dua hai yaksar
marhaba jashn-e-jibillat ki nahin hum paband
marhaba zist ki aazad-e-haya hai yaksar
baat kahne ko hai kuchh aur jahan ka mamduh
baal-e-jibril nahin baal-e-huma hai yaksar
tu samajhta hai jise apna muizz-o-razzaq
hum samajhte hain wahi tera KHuda hai yaksar
aaj jo fitrat-e-adam nazar aati hai hamein
ye meri jaan zamane ki hua hai yaksar
mamba-e-faiz se aati hai jo rahmat yan tak
ye hamein aal-e-mohammad ki ata hai yaksar
KHaliq-e-KHatm-e-rusul aal-e-eba ka masjud
apna masjud magar aal-e-eba hai yaksar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.