machal ke bahti nadi ke bahaw ki surat
machal ke bahtī nadī ke bahāv kī sūrat
badal sakī na hamāre subhāv kī sūrat
bañdhe hue haiñ binā Dor ke sabhī rishte
nizām-e-shamsī meñ jaise khiñchāo kī sūrat
is ek dil pe lagī hai ġhamoñ kī aisī bhiiḌ
ki jaise tham gayā lashkar paḌāv kī sūrat
miTāne ke liye tārīkiyāñ zamāna kī
bahut se log jale haiñ alaav kī sūrat
qubūl kartā nahīñ maiñ to aur kyā kartā
thiiñ iltijā meñ bhī un kī dabāv kī sūrat
ab is maqām pe le aa.ī hai mujhe vahshat
jahāñ se phir nahīñ mumkin bachāv kī sūrat
charāġh ilm ke raushan karo tum ab 'bismil'
jahālateñ sadā ristī haiñ ghaav kī sūrat
machal ke bahti nadi ke bahaw ki surat
badal saki na hamare subhaw ki surat
bandhe hue hain bina Dor ke sabhi rishte
nizam-e-shamsi mein jaise khinchao ki surat
is ek dil pe lagi hai ghamon ki aisi bhiD
ki jaise tham gaya lashkar paDaw ki surat
miTane ke liye tarikiyan zamana ki
bahut se log jale hain alaw ki surat
qubul karta nahin main to aur kya karta
thin iltija mein bhi un ki dabaw ki surat
ab is maqam pe le aai hai mujhe wahshat
jahan se phir nahin mumkin bachaw ki surat
charagh ilm ke raushan karo tum ab 'bismil'
jahaalaten sada risti hain ghaw ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.