machalte rahte hain bistar pe KHwab mere liye
machalte rahte hain bistar pe KHwab mere liye
Shahbaz Nadeem Ziai
MORE BYShahbaz Nadeem Ziai
machalte rahte haiñ bistar pe ḳhvāb mere liye
utāre jaate haiñ shab bhar azaab mere liye
maiñ jab safar ke irāde se ghar ko chhoḌtā huuñ
sulagtā rahtā hai ik āftāb mere liye
maiñ terā qarz chukā.ūñgā vasl kī rut meñ
tū apne ashkoñ kā rakhnā hisāb mere liye
rifāqatoñ kī shagufta bashārateñ terī
ta.alluqāt ke saare azaab mere liye
phir us ke baad jo tū chāhe zulm kar duniyā
bas ek harf-e-duā mustajāb mere liye
fuġhāñ kā shor muqaddar hai hijr kī shab meñ
na koī naġhma na chañg o rabāb mere liye
ye kis nigāh kā ezaaz hai koī batlā.e
kiye haiñ kis ne ye ġham intiḳhāb mere liye
'nadīm' rishtoñ kī har aañkh shab-zada hai yahāñ
har ek chehra hai jaise sarāb mere liye
machalte rahte hain bistar pe KHwab mere liye
utare jate hain shab bhar azab mere liye
main jab safar ke irade se ghar ko chhoDta hun
sulagta rahta hai ek aaftab mere liye
main tera qarz chukaunga wasl ki rut mein
tu apne ashkon ka rakhna hisab mere liye
rifaqaton ki shagufta bashaaraten teri
talluqat ke sare azab mere liye
phir us ke baad jo tu chahe zulm kar duniya
bas ek harf-e-dua mustajab mere liye
fughan ka shor muqaddar hai hijr ki shab mein
na koi naghma na chang o rabab mere liye
ye kis nigah ka ezaz hai koi batlae
kiye hain kis ne ye gham intiKHab mere liye
'nadim' rishton ki har aankh shab-zada hai yahan
har ek chehra hai jaise sarab mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.