machalte tir ko aane to de nishane tak
machalte tiir ko aane to de nishāne tak
tū intizār to kar us ke muskurāne tak
ajiib shaḳhs hai rūThā huā sā lagtā hai
hañsā rahā hai vo ḳhud ko mujhe hañsāne tak
lagī hai shart havāoñ se un charāġhoñ kī
jalā rahā huuñ inheñ dekhiye bujhāne tak
hamārī ruuh meñ tūfāñ uThā.egī kitne
vo dil kī baat thirakte laboñ ke aane tak
havā ke dosh pe likhtā huuñ naam maiñ 'jauhar'
hai is kā zimma sañbhāle ise zamāne tak
machalte tir ko aane to de nishane tak
tu intizar to kar us ke muskurane tak
ajib shaKHs hai ruTha hua sa lagta hai
hansa raha hai wo KHud ko mujhe hansane tak
lagi hai shart hawaon se un charaghon ki
jala raha hun inhen dekhiye bujhane tak
hamari ruh mein tufan uThaegi kitne
wo dil ki baat thirakte labon ke aane tak
hawa ke dosh pe likhta hun nam main 'jauhar'
hai is ka zimma sanbhaale ise zamane tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.