machalti hai mere sine mein teri aarzu kya kya
machaltī hai mire siine meñ terī aarzū kyā kyā
liye phirtī hai terī chaah mujh ko kū-ba-kū kyā kyā
rahī hai ba.ad-e-murdan bhī tumhārī justujū kyā kyā
ġhubār-e-ḳhāk-e-marqad uḌ rahā hai chār-sū kyā kyā
kabhī āshiq ko samjhāyā kabhī ġhairoñ ko bahlāyā
fareb-āmez haiñ chāleñ tirī o hīla-jū kyā kyā
rihā.ī dī mujhe qaid-e-alā.iq se ināyat kī
kisī kī teġh kā mamnūn hai merā gulū kyā kyā
bahāreñ lūTtā huuñ aap ke tashrīf laane meñ
phalā-phūlā hai merā aaj naḳhl-e-ārzū kyā kyā
tumheñ bhī yaad haiñ kuchh qaul-o-iqrār-o-qasam apne
huī thī darmiyāñ mere tumhāre guftugū kyā kyā
ḳhayāl-e-hijr se hālat taġhayyur hotī jaatī hai
uḌā jaatā hai mere dil se rañg-e-ārzū kyā kyā
tumhāre vāste sun lete haiñ har ek kī bāteñ
hameñ kah jaate haiñ bātoñ hī bātoñ meñ adū kyā kyā
adū kī minnateñ kī haiñ qadam chūme haiñ darbāñ ke
'faroġh' be-sar-o-sāmāñ huā be-ābrū kyā kyā
machalti hai mere sine mein teri aarzu kya kya
liye phirti hai teri chah mujh ko ku-ba-ku kya kya
rahi hai baad-e-murdan bhi tumhaari justuju kya kya
ghubar-e-KHak-e-marqad uD raha hai chaar-su kya kya
kabhi aashiq ko samjhaya kabhi ghairon ko bahlaya
fareb-amez hain chaalen teri o hila-ju kya kya
rihai di mujhe qaid-e-alaiq se inayat ki
kisi ki tegh ka mamnun hai mera gulu kya kya
bahaaren luTta hun aap ke tashrif lane mein
phala-phula hai mera aaj naKHl-e-arzu kya kya
tumhein bhi yaad hain kuchh qaul-o-iqrar-o-qasam apne
hui thi darmiyan mere tumhaare guftugu kya kya
KHayal-e-hijr se haalat taghayyur hoti jati hai
uDa jata hai mere dil se rang-e-arzu kya kya
tumhaare waste sun lete hain har ek ki baaten
hamein kah jate hain baaton hi baaton mein adu kya kya
adu ki minnaten ki hain qadam chume hain darban ke
'farogh' be-sar-o-saman hua be-abru kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.